Blog Archive

Wednesday, October 6, 2021

Begum Akhtar (7 October 1914 – 30 October 1974)

Main dhoondta hun jise woh jahaan nahin milta, nayi zameen naya aasmaan nahin milta. Nayi zameen naya aasmaan mil bhi jaaye, naye bashar ka kahin kuchh nishaan nahin milta. Woh tegh mil gayi jis se hua hai qatl mera, kisi ke haath ka uss par nishaan nahin milta. Woh mera gaaon hai woh mere gaaon ke chulhe, ki jin mein sholay toh sholay dhuaan nahin milta. Jo ek khuda nahi milta toh itna maatam kyon, yahan toh koi mera hum-zubaan nahin milta. Khada hun kab se main chehron ke ek jungle mein, tumhare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta. !! – Kaifi Azmi Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho Wohi Yaani Waada Nibaah Kaa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho Woh Jo Lutf Mujh Pe The Beshtar, Wok Karam Ke Tha Mere Haal Par Mujhe Sab Hai Yaad Zaraa Zaraa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho Woh Naye Gile, Woh Shikaayatei, Woh Maze Maze Ki Hiqaayatei Woh Har Ek Baat Par Roothnaa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho [ Hiqaayat = Story ] [Gila = Compaint] Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Chah Thi, Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Raah Thi Kabhi Hum Bhi Tum Se The Ashana, Tumhei Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho [ Ashana = Friendship] Jise Aap Kehate The Baavafaa, Jise Aap Ginate The Ashana Main Wahi huu ‘momin-e-mubatala’, Tumhei Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho -Momin Khan Momin Nanadiya kahe mare bol? Ab hi mangaye, khaye maroongi bikh ghol! Ek to balam mora moso ruse Dooje nanadiya mare bol! . aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e bām-e-mīnā se māhtāb utre dast-e-sāqī meñ āftāb aa.e har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho sāmne phir vo be-naqāb aa.e umr ke har varaq pe dil kī nazar terī mehr-o-vafā ke baab aa.e kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb aaj tum yaad be-hisāb aa.e na ga.ī tere ġham kī sardārī dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī goyā har samt se javāb aa.e 'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e -FAIZ AHMAD FAIZ kuchh to duniyā kī ināyāt ne dil toḌ diyā aur kuchh talḳhī-e-hālāt ne dil toḌ diyā ham to samjhe the ke barsāt meñ barsegī sharāb aa.ī barsāt to barsāt ne dil toḌ diyā dil to rotā rahe or aañkh se aañsū na bahe ishq kī aisī rivāyāt ne dil toḌ diyā vo mire haiñ mujhe mil jā.eñge aa jā.eñge aise bekār ḳhayālāt ne dil toḌ diyā aap ko pyaar hai mujh se ki nahīñ hai mujh se jaane kyuuñ aise savālāt ne dil toḌ diyā SUDARSHAN FAAKHIR

No comments:

Post a Comment

Run To You - Live at Slane Castle, Ireland.mp3

Followers